Galti
Maubarak ho..aapko beti hui hai Paida hote hi mujhe mila ek naam Insaan banne se pehle ladki hona Bana meri pehchaan Kehte toh hain sab azaad desh mein janmein ho Par har cheez ke liye bediyon mein bandhe hain mere sapne Banna chahti thi pariwaar ki shaan Par sabne mujhe sharam bana dia Mariyadaon ko mere sur ka kafan bana dia. Chotti logon ki soch thi Par naam mere kapdon ko laga dia Burkhe mein bhi betiyon ka jism jala dia Phir bhi, yeh sab hai meri hi galti Kyuki mai hoon ek ladki? Na..balwaan aur na budhimaan Khitaab dia toh sirf khoobsurati Joh hai ek khokhli murti. Mera saath dia toh sirf lafzon se Meri cheekhen suni toh sirf akhbaaron se Zyada hai toh laashon par ek aansu baha dia Par saath chalne ki baari aai Toh paer dard ka bahana bana dia Meri takleef ko bas ek khabar ka naam dia Betiyon ko ghar ki sharam bana dia. Laaj, izzat ko pighla kar ek pinjara bana dia Pankhon udne ke liye aasmaan Nahi mila Aur phir..sabne haskar us parindey ko kamzor aur la...