Galti
Maubarak ho..aapko beti hui hai
Paida hote hi mujhe mila ek naam
Insaan banne se pehle ladki hona
Bana meri pehchaan
Kehte toh hain sab azaad desh mein janmein ho
Par har cheez ke liye bediyon mein bandhe hain mere sapne
Banna chahti thi pariwaar ki shaan
Par sabne mujhe sharam bana dia
Mariyadaon ko mere sur ka kafan bana dia.
Chotti logon ki soch thi
Par naam mere kapdon ko laga dia
Burkhe mein bhi betiyon ka jism jala dia
Phir bhi, yeh sab hai meri hi galti
Kyuki mai hoon ek ladki?
Na..balwaan aur na budhimaan
Khitaab dia toh sirf khoobsurati
Joh hai ek khokhli murti.
Mera saath dia toh sirf lafzon se
Meri cheekhen suni toh sirf akhbaaron se
Zyada hai toh laashon par ek aansu baha dia
Par saath chalne ki baari aai
Toh paer dard ka bahana bana dia
Meri takleef ko bas ek khabar ka naam dia
Betiyon ko ghar ki sharam bana dia.
Laaj, izzat ko pighla kar ek pinjara bana dia
Pankhon udne ke liye aasmaan Nahi mila
Aur phir..sabne haskar us parindey ko kamzor aur laachar naam dia
Un nanhein haathon se kalam cheen choola thama dete ho
Phir kaabiliyat par ungli utha
Khili uda dete ho
Ant mein saari galti tum meri thehra dete ho.
Is duniya mein ladki hone ka yeh sirrah milta hai
Apni har khushi ke liye ek sangharsh ladna padta hai
Mubarak ho..apko ek fauji hui hai.
Blurry.pages
Comments
Post a Comment