Gullak
Ghar mein koi keemti tizori toh Nahi
Par usse zyada khaas ek gullak zaroor hai
Yaadon Ki gullak
Jismein Maa ki lori
yaaron ki yaari
Jadugaron ki kahani
Baarish ke paani mein tairti kagaz ki kashti
Khule hue feete
Bheegi hui uniform
Kaju ki barfi aur gol gappon ka paani hai
Yeh yaadon ki gullak mein
Aansuon se seeche podhe
Humseha taaze rehte hain
Woh keemti lamhe usmein kaid rehte hain
Woh gullak waqt ke saath ghar ke kisi purane kamre ki
Purani almari ki
Dehti daraaz mein reh jaati hai
Par jab bhi duniya se thak kar
Zindagi se jhagad kar
Ghar lautte hain
toh kadam us kamre ke paas thehar jaate hain
andar jaa Kar jab us almari ki daraaz khol
Woh gullak dekhte hain
toh Woh purana kamra
Woh khurdari deewar
Woh tooti kursi
Aur woh jaalon waali khidki
Bahut khooburat lagti hai
Woh kamra ghar Ka sambse apna hissa lagta hai
Us bakse ko seene se laga so jaate hain
Agli subah us gullak aur kamre ko band kar
ek Baar phir duniya se jhoonjhne
Aur Zindagi se jhagadne chal dete hain.
-Chanchal Bagla
Comments
Post a Comment