Insaaf
Insaaf ki thi jung
par har kaid mein thi surang
Bhaag raha yeh jahn
fursat hai kise, kahn
bediyon mein bandhi hai insaaniyat
Aazad hai toh, bas haiwaniyat
Kuch paane ke fitoor mein
Sab Kuch luta baithe
Pasina bahane ki umar mein
Ashqon se dil laga baithe
Nyaya ke tarazoo par
Rupai bikhre hain
jinse samaj banaya
Woh sab tukre hain
kalam ki nok se aaj
Khoon beh raha hai
Us syahi ke dhabbe
Har kisi ke jism par lage hain
Ab bahut ho gaya
ab aur Nahi
Suraj ki roshini, banegi mashaal
Seene ke kaante, banenge hathiyaar
Ab aur nahi hogi yeh maati raakh
Chahe saath ek khada ho
Ya lakh..
-Chanchal Bagla
Comments
Post a Comment